Computer Fundamentals - Introduction of Computers and Definition of Computers

कंप्यूटर का परिचय ( Introduction of Computers ) Jaisa ki hum sabhi acche se jante hai ki yah 21st Century Computer ke liye jani jati hai. Computer, Science world ki ek krantikari khoj hai, jo aaj manav jeevan ki zaroori aavshyakta ban gai hai. Computers ka use aaj kai sthanon par hone laga hai. Shiksha se lekar manoranjan tak, ghar se lekar business tak, aise kai kshetra hai jahan computers ki upyogita aavshyak ho gai hai. Information Technology ke is anokhe aur useful invention ne manav jeevan mein ek prakar ka revolution la diya hai. Aaj ek chhota sa Mobile Handset kai purane Computers se bhi jyada useful aur fast hai. Aaj ki zaroorat hai ki humein shighra ati shighra computer ki knowledge ho anytha ham aane wale time mein poori duniya se pichhad jayenge. कंप्यूटर की परिभाषा ( Definition of Computers ) Computer ek Electronic Device hai jo ki data processing ke kaam mein aata hai. Yeh data aur instruction user's se input ke roop mein lekar save karta hai, phir usi